Sham - Aisha Lyrics


Sham

Sham bhi koi jaise hai nadi
Lehar lehar jaise beh rahi hai
Koi ankahi, koi ansuni
Baat dheemi dheemi keh rahi hai
Kahin na kahin jaagi hui hai koi aarzoo
Kahin na kahin khoye hue se hain main aur tu
Ke boom boom boom para para
Hai khaamosh dono
Ke boom boom boom para para
Hai madhosh dono
Jo gummsum gummsum hai yeh fizayein
Jo kehti sunti hai yeh nigahein
Gummsum gummsum hai yeh fizayein hai na

Suhani suhani hai yeh kahani
Jo khamoshi sunaati hai
Jise tune chaha hoga woh tera
Mujhe woh yeh batati hai
Main magan hoon par na jaanu
Kab aane wala hai woh pal
Jab haule haule dheere dheere
Khilega dil ka yeh kamal
Ke boom boom boom para para
Hai khaamosh dono
Ke boom boom boom para para
Hai madhosh dono
Jo gummsum gummsum hai yeh fizayein
Jo kehti sunti hai yeh nigahein
Gummsum gummsum hai yeh fizayein hai na

Yeh kaisa samay hai, kaisa sama hai
Ke shaam hai pighal rahi
Yeh sab kuch haseen hai, sab kuch jawan hai
Hai zindagi machal rahi, jagmagati jilmilati
Palak palak pe khwaab hai
Sun yeh hawayein gungunaye
Jo geet lajawab hai
Ke boom boom boom para para
Hai khaamosh dono
Ke boom boom boom para para
Hai madhosh dono
Jo gummsum gummsum hai yeh fizayein
Jo kehti sunti hai yeh nigahein
Gummsum gummsum hai yeh fizayein hai na

1 Comments