Barf Khushi Hai - Ek Ajnabi Lyrics


Barf Khushi Hai

barf khushi hai sard haseen hai
kyon muskurahat jaise jami hai
koi jo pootche kya kya kami hai
kya dil bataye woh ajnabi hai
ek ajnabi hai

unchi minaarein lambi katarein
choti baharein kya yeh sahi hai
koi jo pootche kyon yeh sabhi hai
bole nazar kya woh ajnabi hai
ek ajnabi hai - 2
unchi minaarein lambi katarein
choti baharein kya yeh sahi hai
koi jo pootche kyon yeh sabhi hai
bole nazar kya ek ajnabi hai
ek ajnabi hai - 2

lalchate chehre muskate pehre
taalo pe taale chaabi nahi hai
koi jo pootche jaate kaha ho
bole kadam kya ek ajnabi hai
ek ajnabi hai - 2
lalchate chehre muskate pehre
taalo pe taale chaabi nahi hai
koi jo pootche jaate kaha ho
bole kadam kya ek ajnabi hai
woh ajnabi hai ek ajnabi hai
ha ajnabi hai

unchi minaarein lambi katarein
lalchate chehre muskate pehre
aaja hai kehte haste hi rehte
kehte hai humse hum zindagi hai
barf jami ho sard haseen ho
seene ke andar baste ho khandar
taale lage ho jaale lage ho
lagte hai yeh pal ajnabi hai
yeh zindagi hai toh jeete hai kaise
yeh hai jo khushiya to peete hai kaise
muh se bolu koi raaz kholu
toh kehti hai duniya - 2
koi toh kami hai - 2
ek ajnabi hai - 6

1 Comments