Milan 1967 Lyrics

Aaj Dil Pe Koi - Milan 1967 Lyrics


Aaj Dil Pe Koi

aaj dil pe koI zor chalataa nahii.n
muskuraane lage the magar ro pa.De
roz hii kii tarah aaj bhii dard thaa
ham chhupaane lage the magar ro pa.De
aur ab kyaa kahe.n, kyaa huaa hai hame.n
tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hai.n
bas yahI jaan lo to bahut ho gayaa
ham bhii rakhate hai.n dil, ham bhii insaan hai.n
muskuraate hue ham bahaanaa koI
fir banaane lage the magar ro pa.De
hai.n sitaare kahaa.N itane aakaash par
har ek ko agar ik sitaaraa mile
kashtiyo.n ke liye ye bha.nvar bhii to hai.n
kyaa zaruurI hai har ek ko kinaaraa mile
bas yahI soch kar ham ba.Dhe chain se
Duub jaane lage the magar ro pa.De
umr bhar kaash ham yuu.n hii rote rahe
aaj kyuu.n ke hame.n ye huI hai khabar
muskuraahaT kii to koI kImat nahii.n
aa.Nsuo.n se huI hai hamaarI kadar
baadalo.n kii tarah ham to barase binaa
lauT jaane lage the magar ro pa.De

4 Comments