Milan 1967 Lyrics

Sawan Ka Mahina - Milan 1967 Lyrics


Sawan Ka Mahina

Mukesh:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Lata:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Mukesh:
Hhmm, pawan kare sor
Lata:
Pawan kare shor
Mukesh:
Are baba shor nahin sor nahin .. Sor, sor
Lata:
Pawan kare sor
Mukesh:
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor..
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Lata:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Mukesh:
Rama gajab dhaae, ye purwaiyya
Lata:
Naiyya sambhalo kit, khoe ho khiwaiyya
Mukesh:
Rama gajab dhaae, ye purwaiyya
Lata:
Naiyya sambhalo kit, khoe ho khiwaiyya
Mukesh:
Hey.. Purwaiya ke aage, chale naa koi zor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Lata: ooo
La + mukesh:
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Lata:
Maujhwa kare kyaa jaane, humko ishaara
Mukesh:
Jaanaa kahaan hai poochhe, nadiyaa ki dhaara
Lata:
Maujhwa kare kyaa jaane, humko ishaaraa
Mukesh:
Jaanaa kahaan hai poochhe, nadiyaa ki dhaara
Lata:
Hey.. Marzii hai tumhari, le jaao jis or
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Mukesh: ooo
Lata + mukesh :
Sawan ka mahina, pawan kare sor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor
Jiyara re jhuume aise, jaise banmaa naache mor...

3 Comments