Nani Maa - Moksha Lyrics

Nani Maa

Haseen Pyaari Boli Shahed Ke Jaise Meethi

Hai Naram Jaisi Ruhi Nani Maa

Kahaniyaan Sunati Pehliyaan Bujaati

Thapak Thapak Sulaati Nani Maa

Tumhi Ho Meri Lori Tumhi Meri Kahani

Tumhara Pyaar Bachpan Ki Ek Haseen Nishani

Tumhi Ne Di Thi Gudiya Jo Thi Meri Saheli

Tumhara Hi Tha Aangan Main Kal Thi Jis Mein Kheli

Tumhi Ne Tha Bataaya Hai Rang Kitne Sare

Tumhi Ne Tha Bataaya Hai Phool Kitne Pyaare

Tumhi Ne Tha Sikhaaya Badon Se Kaise Boloon

Tumhi Ne Tha Sikhaaya Dupatta Kaise Odhoon

Woh Pyaar Se Bulaati Woh Pyar Se Sikhaati

Woh Kuch Na Kuch Bataati Nani Maa

Tumhi Ho Meri Lori Tumhi Meri Kahani

Tumhara Pyaar Bachpan Ki Ek Haseen Nishani

Tumhi Ne Di Thi Gudiya Jo Thi Meri Saheli

Tumhara Hi Tha Aangan Main Kal Thi Jis Mein Kheli

Teri Nani Maa Ko Bhi Sab Yaad Hai

Kal Tu Nanhi Si Bachchi Thi

Sharir Chulbuli Manmohini

Frock Pehne Baalon Mein Ribbon

Hasti Khilkhilati Khelti Muskuraati

Kabhi Mujhse Zid Karti Kabhi Mujhe Banaati

Din Bhar Shor Shararat Aur Shyaam Woh Tera

Mere God Mein Sir Rakna Aur

Ek Pal Mein So Jaana Yaad Aata Hai

Aaj Bhi Bahut Yaad Aata Hai

Tumhi Ne Mere Dil Mein Mohabbatein Hain Gholi

Tumhi Se To Suni Thi Jo Bolti Hoon Mein Boli

Tumhi Ne To Kaha Tha Jo Bolta Nain Hain

Hameshaa Yaad Rakhna Ke Zindagi Haseen Hain

4 Comments