Dupatta Lyrics

Music Feroze Nizami
Year 1955
Rating

Chaandni Raaten Ho Chaandni - Dupatta Lyrics


Chaandni Raaten Ho Chaandni

ek diip jigar me.n bujhatii hai
ik dard saa dil me.n hotaa hai
ham raato.n ko uThakar rote hai.n
jab saara aalam sotaa hai

chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n
sab jag soye, ham jaage,
taaro.n se kare.n baate.n
chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n

thakatii thakatii chhuTii jaaye,
aaj piyaa na aaye re, thakatii thakatii
shaam savere dard anokhe
uThe.n jiyaa ghabaraaye re, shaam savere
raato.n ne merii nii.nd luuT lii \-2
dil kii chhain churaaye
dukhiyaa aa.Nkhe.n Dhuu.NDh rahii hai.n
vohii pyaar kii baate.n
chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n

pichhalii raat me.n Gam ko TuuTakar
chupake chupake roye re, pichhalii raat me.n
chupake nii.nd me.n miit hamaare
desh paraaye soye re, chupake nii.nd me.n
dil kii dha.Dakane.n tujhe pukaare.n \-2
aajaa baalam aaI bahaare.n
baiTh ke tanahaaI me.n kar le
sukh\-dukh kii do baate.n
chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n

sab jag soye, ham jaage,
taaro.n se kare baate.n
chaa.Ndanii raate.n, o, chaa.Ndanii raate.n

3 Comments